Usman Aor Khilafat Usman

Download

Usman ra Aur Khilafat Usman ra . Hazrat Usman R.A ghareebon, yateemon aur bay sahara afrad ke gham khawaar thay aur un ki har waqt madad farmatay. Aap ke door khilafat mein har taraf aman o aman tha Aap R.A ki naram tabiyat ne logon ko bohat aram diya jis se baaz logon ne najaez faida uthaya aur un ke khilaf fitna paida kiya yahudiyon ki sazish ke teht Ibn-e-Saba ne bazahir Islam qabool kiya magar woh Islam se bughz rakhta tha us ne mukhtalif alaqon mein ja ke logon ko Hazrat Usman R.A ke khilaf bharkana shuru kiya aur mann gharat kahaniyan Hazrat Usman R.A ke mutaliq logon ko sunane laga. Khuch log us ki baton mein aa gaye aur din ba din un mein izafa hota chala gaya. Unhon ne un sabaiyon ko samjhanay ki koshish ki magar woh baaz na aye aur Aap se khilafat se dastbardari ka mutalba karne lage. Hazrat Usman ki khilafat ke 12th saal ye log Madina ke gird o nawah mein jama hue Aap ne unhain Masjid Nabwi mein bulaya aur un se wajah puchi jis par unhon ne Aap par mukhtalif qisam ke ilzamat lagaye Aap un ke tamam ilzamat ka jawab detay rahe. Hazrat Ali R.A ne bhi unhain samjhaya magar un ke moqaf mein tagheer paida na hua baaz mein unhon ne Hazrat Usman ke ghar ko gheeray mein lay liya ahl-e-madina ko dhamki di aur ye ilan kiya keh jo hamare muqablay par nahin aye ga woh amaan mein ho ga.

Leave a comment